Saturday, July 17, 2010

kaynaat..

BADRNATH TEMPLE

JAY BADRI VISHAL !!!





kai mahino ki planning k baad finaly aaj vo din aa gaya jab main (hum) uparwale ki us kaynaat ko dekhne k liye nikal pade jisk hone ya na hone se bharat or bhartiyon k liye utna hi asardayak hai jitna ek bachhe k liye baap ka hona ya na hona karta hai..ji han main baat kar raha hun " THE GREAT HIMALAYA" KI. JISE main "FATHER OF INDIA" bhi kahta hun

"THE GREAT HIMALAYA"
.
main apne sabse ajij bhai k sath 10 july ko raat kareeb 11 baje chandigarh k liye apni us sapno ki yatra pe nikal pada jiska mujhe to sayad barson se intjaar tha.hum dono badi jabardat planning k sath nikle sath me safar k sare lava laskar k sath jisme garm kapde, medicines(jisme hum dono ki vijaya bhi samil thi),raincoat,etc.khair hum rat ko nikle so as our planning hum subah 4:30 ko haridwar pahunche or vahan se fir rishikesh pahunche kareeb 5 baje.

PARMARTH NIKETAN

aage kuchh bhi likhne se pahle main apne pahle padav rishikesh k bare me batana chahunga...rishikesh himalaya ke "Anchal" me basi ek aisi spritual nagri hai jahan agar insan ek baar aa jaye to jaane ka man sayad hi kisi ka kare.aap rishikesh k main market ko cross kar k jaise hi ram jhule pahunchte ho aapko pahado se ghiri ek aisi duniya dikhai deti hai jiski kalpana bharat k kisi bhi maha-nagar me rahne wala sayad hi kar sake.. charon or himalaya ki chotiyan,beech se nikalti ganga or ganga k dono or bane ghat or unpe bane dharm guruon k aashram..door se mandir se aati ghanti ki aawaj se kisi k bhi man me bhagwad bhakti jag jayegi.mere liye vahan hona kisi swarg me hone jaisa tha or sayad isiliye vahan par bane ek aashram ka name "swargashram" hai.vaise neeche risikesh city k rahne walo k living standered ko dekh k koi bhi ye nahi kah sakta ki city k bahar aisa dharmik mahol ho sakta hai ... ye suchmuch adbhut hai .
raat me sare rastey hum dono ne apni aage aane wali journey k alawa family k bare me khub baten ki muskil se 1 hour k liye hum dono soye the..so in the morning when we reached parmrth niketan at rishikesh hum dono ne sabse pahle ganga me dubki laga k yatra ki sari thakan mitane ka faisla liya , or yakin maniye pahli dubki k baad jaise hi maine apna sir bahar nikala to muje laga jaise mujh me ek spritual power aa gai ho meri soch ekdum badal gai or main khud halka or taja mahsus karne laga .bcas ye hamari journey ka pahla padav tha ( padav isliye bcas humare sath 2 or sakhsiyat aane wali thi) . nahane k baad as our planning, hum dono aarti k liye gaye lekin vahan jane par hame pata laga ki jis aarti ki hum soch kar aaye hain vo sirf sham ko hoti hai...



WADIYAN !!
hame thodi nirasa hui but kyun ki vahan ka mahol itna khamosi bhara or khusnuma tha ki humare sare gile sikve or nirasayen door ho gai..hum dono is waqt ram jhule pe the (ram jhula ganga pe bana ek bridge hai jo us paar se is paar aane k liye banaya gaya hai.) humne socha kyunh na hum kisi aisi jagah pe chalen jahan ek dum virana ho nadi k kisi kachhe kinare pe...and bcas dhundhne se to RAM bhi mil jata hai hame bhi mil gayi ek aisi jagah jo laxman jhule k left side me thi or hame ek sukhad ahsas tab hua jab hame us virane me ek aashram type hotel bhi mil gaya jahan hum apna saman rakh sakte the..ye ek aisi jagah thi jahan ganga nadi k pani se pavitra awaj aa rahi thi or monsoon time hone se us subah pahadiyan puri tarah se badalon se dhaki padi thi or rimjhim bareesh ka ahsas hame pagal kiye ja raha tha...hamare jo 2 hamsafar aane wale the hame pata chala ki vo 9 baje tak haridwar aayegi isliye hum dono kareeb ghante bhar us fija ka aanand lene k baad haridwar k liye nikal pade .haridwar ka mosam vahan ki tulna me bahut garam or umas bhara tha, bheed jyada hone se kafi sorgul bhi tha,kyun k hum dono shantipriya insaan hain, hum jaldi se jaldi vahan se nikalna chahte the..but kareeb 1/2 ghante k intjaar k baad vo do sakhsiyaten aayi jiska hame intjaar tha or vo the DIPTI & SANDHYA .



DIPTI & SANDHYA
in dono k bare me vistaar se batane k bajay main sirf itna kahna chahunga k ye dono hum dono ki achhi dost hai ..dipti ek film director hai or sandhya ek reputed pharma comany me job karti hai...dipti sayad rishikesh tak pahle bhi kai baar aa chuki hai or sandhya pahli baar aai hai..khair ..hum charon rishikesh k liye nikal pade or vahan pahunchkar un dono ko bhi sayad vo hi anubhuti hui jo ham pahle kar chuke the..ab time tha aage badhne ka lekin bcas sandhya yahan pahli baar aai thi or uska parmarth niketan me hone wali aarti dekhne ka bada man tha, vaise man to mera bhi bahut tha.


( isliye hamne raat risikesh me gujarne ka faisla liya,,,kyun k raat ko aage jane ka koi sadhan nai tha,) hamne maa ganga ki aarti ka lutf uthya jo ki hamesa ki tarah shandar thi or usk baad ek reputed hotel me rat gujari,,reputed isliye k mujhe chhodkar mere sare sathiyon ko sone k liye saf suthra mahol chahiye tha, unhe aadat nahi thi fakkadpan ki, ya sayad vo aadat dalna nahi chahte the..is mamle me meri soch alag hai mujhe lagta hai ki agar insaan ko neend aa rahi ho to fir vo ye nahi dekhta ki bed kaisa hai..khair raat ko ek dusre se kiye promise ko todkar hum subah bahut late uthe or risikesh se jahan hame 6 baje nikalna tha hum 11:30 baje bus stand pahunche. vahan pahunch kar hame pata laga ki hamre agle padav(badrinath) k liye bus ja chuki hai or jo jayegi vo 2:30 baje yahan se niklegi jo hame rat ko rastey me rukwayegi or dusre din dopahar ko pahunchayegi.ab humme se koi bhi is baat k liye taiyaar nahi tha so hum privet taxi k liye inquiry karne lage or ye hamara good luck hi tha ki hame ek aisa banda mil gaya jo risikesh se badrinath k liye apni taxi liye pichhle 8 din se khada tha sawari k intjaar me, lekin use koi nahi mila , vo hame 300 rs per sawari k hisaab se le jane k liye taiyaar ho gaya.. vo isliye k uska ghar bhi badrinath k paas k gaav me tha or use apne ghar jana tha ab ise chahe hamara good luck kah do ya uska bad luck... per hum sub khus the.


kareeb dopahar k 12 baje hum badrinath k liye nikal pade ,aage ka rasta hum charo k liye anjan tha ..lekin fir bhi pata nahi kyun mujhe aisa lag raha tha ki sayad yahan main pahle bhi aaya hun sayad isliye ki maine kai aise writers k himalaya ki yatra k "YATRA VRITANT" padh chuka hun. main bahut romanchit tha mere sath jo 3 log or the unme se ek ko chhodkar(sandhya) baki dono ( nikhil & dipti) adventure pasand the,,but unk pas bhi koi romanchkari anubhav nahi tha. meri soch nikhil se kafi milti julti hai or nikhil ki dipti se..or dipti k hisaab se meri or dipti ki kafi achhi tunning hai...so finaly ye ek trikon ban gaya ,is trikon se alag sandhya thi jo hamre sath isliye thi bcas dipti or nikhil dono use is yatra pe le jana chahte the or khud sandhaya bhi un logo k sath jana chahti thi. ya fir yun kahen ki vo bhi enjoy karna chahti thi. main jyada kuchh na sochte huye rastey k behtreen najaron ka lutf utha raha tha..


"GHUMAVDAR RASTA"
hamari gadi jis road pe chal rahi thi vo ek ghumavdaar rasta tha jo himalaya ko katkar banaya gaya tha, or jisk ek taraf pahad or duri taraf gahri khai thi jo ki badhti hi ja rahi thi ...khai me neche ganga maa hamre sath sath chal rahi thi... najara bahut hi vihangam tha dooor unchai pe base ganv or ganv k ghar bahut khubsoorat the,hara bhara himalaya,or vahan ki sard hawa man ko khus kiye ja rahi thi or lag raha tha mano kisi sapne ko jee rahe ho.


hum abhi muskil se 25 km chale hi the ki traffic jam k karan hamari gadi ko break lag gaye,pahad khisakne se rasta band ho gaya tha mujhe laga pata nahi ab kab aage ja payenge lekin uttrakhand sarkar k karmchari meri soch se kahin jyada chust or durast nikle unhone 1/2 ghante ki kadi masakkat k bad rasta khol diya or hamri gadi aage badhi. rastey me kai ganv or sahar aaye jinme se kuchh pahad k upar or kuchh pahad ki talhati me base the. badrinath k pure rastey me nadi hamre sath hoti hai. in sahron me mukhya 5 padav hai jinhe 5 PRAYAG k naam se jante hain . darasal risikesh me jise hum ganga nadi kahte hain vo DEVPRAYAG me alaknanda or bhagirthi nadi k sangam se milkar banti hai..devpryage k upar , rudraprayag(alaknanda+mandakini), karnpryag (alaknanda +pinder) , nandpryag
(nandakini+ alaknanda) ,visnupryag (saraswati+ alaknanda)me bhi alag alag nadiyon k sangam hai . in sabhi prayagon me nahane ka or pooja archana karne ka hindu mythology k hisaab se apana mahatva hai . lekin hum bcas sirf adventure k liye gaye the isliye hamne aisa kuchh nahi kiya or mere hisaab se aisi jagahon ko dekhkar aap apne jivan me dhanya ho jate hain...bcas mere hisaab se paap or punya manav man me uthne wali un tarango ko kahte hain jo kuchh achha ya bura karte huye hamare man me uthti hai,so agar hum achha kaam karenge to jo khusi ki lahar man me uthegi usse hamara man or tan dono me kuchh na kuchh positive change hoga or yahi PUNYA ya DHARAM hai..., same isk veepreet agar kuchh bura karenge to hamra man or tan dono takleef payenge jo ki PAAP YA ADHARAM hai.


mujhe meri is journey me bahut kuchh naya sikhne ko mila..duniya k bare me, life k bare me , moksa k bare me,n or b bahut kuchh...maslan,,jindgi me jo kuchh aapk sath hota hai vo sab isliye hota hai bcas aisa aapne kabhi socha tha.. matlab life me aap jo kuchh sochte ho vo yun hi nahi hai vo ya to ho chuka hota hai ya hone wala hota hai..or ek had tak ye baat sahi bhi hai..ab dekhiye na maine khud ne meri is journey k bare me socha tha ki ho na ho kahin na kahin humara programme fail hoga or aisa hua bhi hum HEMKUND SAHIB  k aadhe rastey se vapas aa gaye..reason kuchh bhi ho.. dusri baat jab kabhi hum sunte hain ki koi nadi me dub gaya to humare dimak me nadi k liye ek anjana sa dar baith jata hai..lekin upar badrinath me ek sadhu baba k according jo insaan ganga me dubna sadharan mout nahi hai ye moksa ki prapti hai ...bcas jab insaan bahut paap kar chuka hota hai or vo adheer ho jata hai to GANGA MAIYA USE APNE ME KHENCH LETI HAI ...(ye baat hame sunne me ajeeb or bewkoofi bhari lagti hai but ye un logo ka najariya hai jo himalaya me ghumte hain ,iswar ki khoj me or jinka hindu mythology me aham sthan hai.).

HIMALAYI BABAJI
 khair hum apni gadi me himalaya ki hari bhari vadiyon ka lootf uthate chale ja rahe the ki chamoli se 15 km pahle hame pata chala ki aage rasta jaam hai bcas 2 din pahle kuchh 35 logo  se bhari bus ko ganga maa ne apni or kheench liya hai or unki search chal rahi hai or isk liye rasta band hai ..is samay sam k 5 baj rahe the or  hill area me sunset jaldi hota hai so  sndhera bhi jaldi ho gaya or andhere k sath hi hamare driver ne annonce kiya ki hum sayad hi chamoli se aage ja payen bcas 8 baje k baad road pe chalna allow bhi nahi hai or dangerious bhi hai ..lekin sayad hamri uparwale ne sun li...andhera hone se search karna band kar k police ne jamm khol diya, hamri gadi chamoli cross kar gai kareeb 7 baje ab aage ka rasta vakai darawana tha..na koi gadi hamre aage thi na peeche..ek ajeeb sa mahol tha..lekin hum dar gaye aisa bhi nahi tha..bcas hum  masti k mood me the gane gaa rahe the..mast the or hame pata hi nahi chala ki hamari gadi kab hamare doosre padav JOSHIMATH pahunch gai.hum thik..8:30 pe joshimath pahunch gaye ab isse aage gadi ko jana allowed nahi tha rat 8 baje k baad..so hamne vahin pe hotel room liya or rastey ki thakan k karan hum us raat  jaldi so gaye.

DAY-3--
agle din ham sabne sabse pahle HEMKUND SAHIB or VELLY OF FLOWER  jane ka plan kiya.. or bahut jaldi karne pe bhi hum kareeb 10 baje room se nikle..bahar jakar breakfast kiya to 11 baj gaye. HEMKUND  jane k liye hume GOVINDGHAT jana tha jo vahan se kareeb 1/2 hour ka rasta tha vahan se fir hemkund ki chadhai suru hoti hai ... hamne kareeb 12 baje chadhna shuru kiya jo ki upar se aane walo k hisaab se bahut late suruaat thi, bcas hame pahad pe kareeb 13 km chadhna tha jisme kareeb 5 hour ka time lagta hai lekin hamare pas bcas saman bhi tha 2 bade bagpack and 2 chhote or us par hamare sath thi dipti ji jinko photographi ka had se jyada sokh tha , jo har 5 kadam  pe ruk kar photo le rahi thi,usko jab jaldi chalne k liye bolte to uska jawab sun k hum chup ho jate vo kahti "KYA YAR RACE ME THODE AAYE HAIN GHUMNE AAYE HAIN NA ,,,GHUM RAHE HAIN,,KYA JALDI CHALO?"
uski baat bhi sahi thi isliye hum chup ho jate or ruk jate isi chakkar me 3 ghante baad humne paya ki hum abhi 3 km aaye hain . ab tak sham k 3 baj chuke the or hame abhi 10 km or chadhna tha ..upar se aane wala har insaan hame yahi kah raha tha ki jaldi karo ,,aap log bahut late ho chuke ho lekin hum to jaise himalaya ki khobsoorti ko dekh k pagal ho gaye the ..humne jab road k right side me nadi ko bahte dekha to neeche aise utar gaye ki jaise kisi ne sammohan kar diya ho..vahan kareeb ghantebhar nahane or photo session k baad hum jab chale to ab hum chah k bhi jaldi nahi kar sakte the bcas height jyada hone k karan chadhna muskil ho gaya tha..or dipti ko to breathing problem bhi ho rahi thi or upar se bhuk bhi lag gai..bhuk ka to ilaj hamne kar liya maggi kha k ( maggi- ek akela aisa product hai jisa advertisement mujhe 100% sachha lagta hai ki door pahadon pe or kuchh ho na ho maggi jarur milegi) lekin pet pooja kark jab hum chale to ghadi ki sooiyan 4:30 baja rahi thi or hum abhi bhi manjil se 10 km door the..or abhi thodi hi door chale hi the ki himalaya ki tez thandi bareesh suru ho gai .or sandhya ko chhodkar kisi k pas bhi achha raincoat nahi tha..hamne rastey me milne wale 10-10 Rs. k plastic wale raincoat liye but vo kafi nahi the ..goya hum teeno puri tarah se bheeg gaye the ..ek to vo pahadi chadhai ..upar se bareesh k karan or aate jate khachharon ki potty se fislan bhi ho gai thi.so hum chah k bhi tez na chal paye agar hum kosis karte bhi tez chalne ki to dipty ko ho rahi breathing problem hame bar bar rok rahi thi..in sab k beech hamara adventure se bhara man pata nahi kahan gayab ho gaya or uski jagah le li chinta or asanka se ghire huye man ne...kyun k ab door door tak na to koi aa raha tha na koi ja raha tha ham 4 log akele us soonsaan jungle me chale ja rahe the..neeche hame kisi ne bataya tha jungle me se sham hote hi jungli janwar bahar nikal aate hain.leki mujhe jungli janwaro se jyda chinta dipty ki ho rahi thi bcas main har bar jab bhi usk thake huye chehre ko dekhta to mujhe lagta ki ye ab or nahi chal payegi..poore rastey me ek cheez jo achhi thi vo ye ki yahan har 500 mtr pe ek dhaba tha jahan 2 -4 log rahte the.. jab hum kareeb 3 km or upar aa gaye to humne fir se thodi der sustane ki sochi..ab achhi baat ye thi ki hamne ye 3 km ka safar mahaj 1 ghantre me pura kar liya or  buri khabar ye ki abhi bhi hame 7 km or chalna tha or 5:30 baj chuke the matlab sunset ho chuka tha..khair hum aage badhe to mosam ne hame rahat d barish ab dhire ho chuki thi..lekin ye usse bhi bura sabit hua kyun k upar se thandi barfili hawa chalne lagi jo hamre gile kapdo pe lagne k baad sharir ko jama de rahi thi..hamara thand se bura hal tha or mere or nikhil k peechhe lade bags ka vajan ab mujhse to sambhal nahi raha tha goya, ab meri bhi halat dipty jaisi thi ..mera kai baar man hua ki inko bol dun ki main raat ko yahin rukunga lekin fir dipty ko chadhta dekh himmat ho aati...hum jaise taise kar k 3 km or chadh gaye ab tak gahra andhera ho chuka tha nikhil ki hidayat k bavjood koi tourch nahi laya sandhya lai to vo bhi 10 min. k baad diwali ki mombatti ki tarah bujh gai.,, ab hamre pas ek tourch thi jab ki aage  ubad -khabad chadhai or fisaln bhara  rasta tha ,gahra andhera thake huye sharir,kareeb 35 kg vajan or gahra jungle ...halat bahut bure the  lekin hamne jaise kasam khai thi ki yatra to puri karni hi hai..ham abhi kuchh door chale hi the ki kuchh log hame dikhai diye ,,jinki aawaj se hame laga ye kafi paresani me hai ..jab hum pass gaye to pata chala ki ye ek family hai or khachhar pe se girane k karan ek ladki ko jyada chot lag gai hai jisko usk bhai peeth pe laad k chadhne ki kosis kar rahe hain ,unme se ek ladki hamare pas aai or boli aap hamare sath chalo hamare paas tourch ek hi hai ,nikhil ne udarta dikhate huye unk sath chalne ka dridh faisla kiya ,lekin vo log itne dheere chal rahe the ki thand k karan mera sarir jam raha tha or meri halat kharab thi..mujhse ye sahan nahi hua or main baar baar nikhil ko unko chhodkar aage jane k liye bol raha tha lekin nikhil to jaise karsewa k liye hi aaya hai ,tas se mas nahi hua..ulta mujh pe hi chillane laga..harkar,thake man se main bhi unk sath chalne laga  kareeb raat 10 baje ham aakhirkaar  hamare teesre padav pe pahunche.."GHANGARIYA".ham charon ko bahut achha lag raha tha .vahan hotel me room lene k baad pata chala ki 11 baje light jane wali hai jo subah aayegi..goya hum jaldi se kapade badalne k liye jaise hi bags khole ham dekh k hil gaye ki hamare sare kapde aise geele ho gaye hain jaise ganga me dubaki laga k aaye hain ..ab hamari soorat dekhne layak thi par jaise taise kar k hum bistar me ghus gaye or us rat mujhe jitni gahri neend aai life me pahle kabhi nahi aai ..subah thik 7 baje aankh khuli to sab uth gaye the or room me ek ajeeb sa tensefull mahol tha ,jisk kai reason the ..or jiska result yah tha ki hame vapis neeche jana hai..bcas jahan hum the vahan se hemkund ki doori 6 km or velly of flowers ki doori 4 km thi dono k liye chadhai thi..or nikhil velly of flower jana chata tha jab k main or dipty hemkund but sandhya neeche jana chahti thi or ant me sandhya ki baat mani gai or hum log neeche aa gaye. neeche aane se pahle main or dipty vahan k GURUDWARE  gaye or kyun k hum raat ko bina kuchh khaye hi so gaye the humne gurudware me LANGAR chhka or chhaka bhi jamkar. vahan gurudware me hame HEMKUND SAHIBk bare me or us gurudware k bare me kahani ka pata chala .
khair hum neeche aaye or fir vahan se vapis back to pavalion yani josimath usi hotel me jahan hum pahli raat ruke the.
dusre din alsubah hum nikal pade ..apni apni duniya ki or.. maa prakriti ki iss adbhut duniya ko chhod ke jaane ka man to nahi tha lekin fir bhi jaana to tha hi ,beman se lout chale iss wade ke sath ki fir lout ke aayenge ...!!